jaan-e-Rahmat Shaan-e-Rahmat Aamina Ka Laal Hai Lyrics

jaan-e-Rahmat Shaan-e-Rahmat Aamina Ka Laal Hai Lyrics




जान-ए-रहमत, शान-ए-रहमत आमिना का लाल है

सारी दुनिया की ज़रूरत आमिना का लाल है


शान-ए-रहमत, जान-ए-रहमत आमिना का लाल है

सारी दुनिया की ज़रूरत आमिना का लाल है


गोद में ले कर के आक़ा को हलीमा ने कहा

चाँद से भी ख़ूबसूरत आमिना का लाल है


तेरी ग़ुर्बत को मिटा देगा ये कुछ ही वक़्त में

ऐ हलीमा ! तेरी क़िस्मत आमिना का लाल है


बोले उँगली पर नचा कर बाब-ए-ख़ैबर को 'अली

मेरे बाज़ुओं की ताक़त आमिना का लाल है


कहते थे अय्यूब अंसारी, नबी को देख कर

मेरे घर की ज़ेब-ओ-ज़ीनत आमिना का लाल है


jaan-e-Rahmat Shaan-e-Rahmat Aamina Ka Laal Hai Lyrics



jaan-e-rahmat, shaan-e-rahmat aamina ka laal hai

saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai


shaan-e-rahmat, jaan-e-rahmat aamina ka laal hai

saari duniya ki zaroorat aamina ka laal hai


god me.n le kar ke aaqa ko haleema ne kaha

chaand se bhi KHoobsoorat aamina ka laal hai


teri Gurbat ko miTa dega ye kuchh hi waqt me.n

ai haleema ! teri qismat aamina ka laal hai


bole ungli par nacha kar baab-e-KHaibar ko 'ali

mere baazuo.n ki taaqat aamina ka laal hai


kehte the ayyub ansaari, nabi ko dekh kar

mere ghar ki zeb-o-zeenat aamina ka laal hai

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shuja'at Naaz Karti Hai Lyrics

Ajab Rang Par Hai Bahar-e-Madina Lyrics

Dua e Mustafa Hai Hazrate Umar Lyrics