Madine Ki Mitti Hai Sab Se Nirali Lyrics

 Madine Ki Mitti Hai Sab Se Nirali Lyrics





मदीने की मिट्टी है सब से निराली

मदीने में हैं सब जहानों के वाली


मदीने का पानी तो आब-ए-शिफ़ा है

वहाँ की हवा ज़िंदगी देने वाली


हुआ होता पैदा जो दौर-ए-नबी में

मैं दिन-रात सुनता अज़ान-ए-बिलाली


वो महबूब-ए-दावर हैं साक़ी-ए-कौसर

ख़ुदा ने कभी बात उन की न टाली


मुझे भी मदीने बुलाएँगे आक़ा

मैं जी भर के देखूँगा रौज़े की जाली


जिन्हें रब ने मे'राज तोहफ़े में बख़्शी

वही तो ख़ुदा के हैं महबूब-ए-'आली


मिला नाम-ए-नामी मुहम्मद का सदक़ा

इसी नाम ने सब की 'इज़्ज़त बचा ली


पसीना शह-ए-दीं का है रश्क-ए-'अम्बर

वहीं से गुलों ने वो ख़ुश्बू चुरा ली


वही सब से आ'ला, वही सब से बाला

वही रब के प्यारे, वही सब से 'आली


मुझे अपने क़दमों में रख लीजिएगा

मैं आऊँगा इक रोज़ बन कर सवाली


कराची से भेजे हैं ख़ाकी ने आक़ा

सलामों के तोहफ़े, दुरूदों की डाली



 Madine Ki Mitti Hai Sab Se Nirali Lyrics





madine ki miTTi hai sab se niraali

madine me.n hai.n sab jahaano.n ke waali


madine ka paani to aab-e-shifa hai

wahaa.n ki hawa zindagi dene waali


huaa hota paida jo daur-e-nabi me.n

mai.n din-raat sunta azaan-e-bilaali


wo mahboob-e-daawar hai.n saaqi-e-kausar

KHuda ne kabhi baat un ki na Taali


mujhe bhi madine bulaaenge aaqa

mai.n jee bhar ke dekhoonga rauze ki jaali


jinhe.n rab ne me'raaj tohfe me.n baKHshi

wahi to KHuda ke hai.n mahboob-e-'aali


mila naam-e-naami muhammad ka sadqa

isi naam ne sab ki 'izzat bacha li


wahi sab se aa'la, wahi sab se baala

wahi rab ke pyaare, wahi sab se 'aalli


mujhe apne qadmo.n me.n rakh lijiyega

mai.n aaunga ik roz ban kar sawaali


karaachi se bheje hai.n KHaaki ne aaqa

salaamo.n ke tohfe, duroodo.n ki Daali

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shuja'at Naaz Karti Hai Lyrics

Ajab Rang Par Hai Bahar-e-Madina Lyrics

Dua e Mustafa Hai Hazrate Umar Lyrics